Xiaomi ke phone duniya bhar mein karodon log istemaal kr rahe hain aur Android Nougat aane ke baad se Xiaomi ke in fans ko bhi Xiaomi ke naye user interface ka intezaar hai, jo ab khtm hone hi wala hai. Xiaomi jaldi hi laane wala hai MIUI 9 jo Android 7.0 Nougat par based hoga.  Xiaomi ka MIUI behad prominent aur balanced user interface hai aur ab MIUI 9 mein ye aur bhi behtar hoga.


Company isi mahine ki 26 tarek ko apna naya smartphone Xiaomi Mi 5X launch krne jaa rahi hai jiske saath MIUI 9 ki bhi announcement ki jaayegi. Ye update Mi ke bahut saare phones par aayega jinki list mein Mi 2 aur Mi 2S ka naam sabse upar hai. Is khabar ki pushti MIUI ke official English forum dwara bhi ki gyi hai.

Xiaomi Mi 2 aur Mi 2S smartphones ka istemaal karne waale logon ki sankhya lagbhag 50 laakh hai. Ye donon smartphones 4 saal se bhi jyada puraane hain aur ab ye bhi Android Nougat ke saath MIUI 9 user interface dwara sanchaalit honge. Is samay Xiaomi, MIUI 9 ke liye beta testers ki bharti krne mein juta hai.

MIUI ke official forum dwara MIUI 9 ke pehle look ki 2 tasveerein bhi sajha ki gyi hain. Halanki ye MIUI 8 se jyada alag nahin hai. Xiaomi ke jin smartphones par ye update aane wala hai, unke naam hain- Mi 6, Mi 5s Plus, Mi 5s, Mi 5c, Mi 5, Mi 4S, Mi 4c, Mi 4, Mi 3, Mi 2/2S, Mi MIX, Mi Max 2, Mi Max, Mi Note 2, Mi Note/Pro, Mi Pad 2, Mi Pad 1, Redmi Note 4X (MTK), Redmi Note 4X (SD), Redmi Note 4, Redmi Note 3 (MTK), Redmi Note 3 (SD), Redmi Note 2, Redmi Note, Redmi Pro, Redmi 4X, Redmi 4A, Redmi 4, Redmi 4 Prime, Redmi 3S/Prime, Redmi 3, Redmi 2A, Redmi 2/Prime, Redmi 1S, Redmi 1.