Xiaomi Announced Mid-Range Mi 5X With 5.5 inch FHD Display and 4GB RAM

Jaise ki ummid jataayi jaa rahi thi, Xiaomi ne apna naya mid-range smartphone jiska naam Mi 5X hai 26th July ko China mein ek event mein launch kar kiya hai. Ye smartphone Black, Gold aur Rose Gold color options mein CNY 1499 (approximately Rs. 14,300) mein 1st August, 2017 se Chinese market mein uplabdh hoga.


Agar Mi 5X ki specifications ki baat karein to, is phone mein aapko 5.5 inch ki full HD 2.5D Curved Glass display milti hai. Ye smartphone 2.0 GHz Octa Core Qualcomm Snapdragon 625 14nm processor dwara sanchaalit hota hai aur ismein Adreno 506 GPU, 4GB ki RAM aur 64GB ki onboard memory milti hai jise aap microSD card slot ki madad se 128GB tak aur bhi badha sakte hain. Iska matlab memory ki kami to aapko yahaan bilkul nahi hone waali.

Camera section mein dekhein to ismein 12 MP ka auto focus rear camera hai jo dual tone LED flash light, f/2.2 aperture aur wide angle lens ke saath aayega. Yahaan ek secondary rear camera bhi hai jiska resolution 12 MP hi hai aur ye telephoto lens, f/2.6 aperture aur PDAF ke saath aayega. Mi 5X mein apko 5 MP ka front camera milega.

Ab yadi software ki baat karein to Mi 5X mein MIUI 8 OS hai jo Android 7.1.1  Nougat par based hai, saath hi aane waale samay mein ye upgrade hokar MIUI 9 par bhi chal sakta hai. Is smartphone mein 3080mAh ki battery aati hai aur saath hi iske rear panel par fingerprint scanner bhi moujood hai.

Mi 5X mein Hybrid Dual SIM slot hai jiska matlabh hai aap second SIM slot ko microSD card slot ki tarah bhi istemaal kar sakte hain. Is smartphone ke connectivity features hain 4G VoLTE, 3G / HSPA+, EDGE / GPRS, Wi-Fi 802.11 ac, Bluetooth 4.2, GPS + GLONASS, USB Type C port and 3.5mm audio jack.


Reactions

Post a Comment

0 Comments