Hi User, Aaj ke article mein ham baat karane waale hain Augmented reality (AR) or Virtual reality (VR) ke baare mein.!! Or Google Project ARCore kya hai? Ye kaise kaam karte hai? Or Google kya plan kar raha hai.! thoda ham iske baare mein baat karenge.. Mujhe ummeed hai yah information aapko pasand aayegi..


Aapko bhi  pata hoga Augmented reality (AR) definitely advance hai standard Virtual reality (VR) se yahaa par hum apne environment mein hi alag alag object ko interact kar sakte hai example aapka
ek room hai yaha par ek wall hai,teble hai,flore hai, Ab aap apane room ke kisee bhee flat surface
par external object ko place kar sakte hai,Ya interact kar sakte hai. Ye Technology kafi advance hai,
par aapko bhi pata hai yahaa par hume chahiye bahut kamal ka Specialized Hardware phir chahe
wo Microsoft ka HoloLens, ya phir Google ka Project Tango ho yaha hume chahiye tarh tarh ke
sensors or tarh tarh cameras jiske chalte hum Augmented reality (AR) ko Archive kar pate hai.!!


Yahaa par Apple ne bhi show kar diya apna AR Kite, jaha par Apple ne ye kaha jo bhi compatible
device hai jo kaam karenge IOS 11 par usme milega Augmented reality (AR) ka support or yha par
koi bhee External ya phir specialized hardware ki jarurat nahi padegi.! to iske chalte hoga ye ki
bade scale par sabhi ke pass pahunch jaega, ab yaha Google bhi apna kaam kar raha tha
Augmented reality (AR) Project par or recently Google ne bhi apna ARCore show kar diya, jaha par
android device me bhi ye bade scale par pahuchne wali hai jisse aap apne device mein bina
Specialized Hardware ke Augmented reality (AR) ke kafi features ko kaam me le payenge! Abhi ye currently kuch device me available hai par wo abhi development bases ke uper hai.lekin Google ka Plan aage chalkar jitne bhi 2 billion devices hai, unme se kam se kam 100 Million device tak saal ke end tak ARCore ko pahucha, or yaha Google alag alag Manufacturers ke sath baat kar raha hai jaha par Samsung,Asus,LG,Huawei,etc. hai, ki kaisi wo unke phones ko future phones or existing phones ko ARCore ka support kese de payega.!!

More Article :-

Truecaller! How it works ( Explain in English )


ARCore kya hai? Ye kaise kaam karte hai? Or Google kya plan kar rahi hai? Thoda hum iske baare mein baat karte hai..

Ab yaha Google kahta hai ki yaha par 3 main features hai jinke uper focus kiya gya hai.

1. Motion Tracking Aap ke phone maine camera hai woto samne dekha hi raha hai, uske alawa aap ko aapke phone ke andar milte hain basic sensor, for example gyroscope,etc. to inke data ke through yaha par software pata lagata hai ki aap ke phone ki position kya hai, kis angle par hai, or phir aapne koi external object place kar diya for example aapne apni table par koi dinosaur ko betha diya to aap usko charo taraf se ghum kar dekah sakte hai aap bade aaram se track kar sakte hai, wo apna control khud hi maintain karega wo table par konsi position par hai kis angle par hai,wo usko maintain karega, Ye kaam aapke phone ke internal sensor ki madad se kiya ja rha hai.!!

2. Light Estimation ye kafi advance technology hai isme hota ye hai ki ambient light ko pata lagya
jata hai wo kaha se aa rahi hai,kitni aa rahi hai or uske baad aap jo object rakhte hai wo apne satha
shadow ko bhi cast karte hain jiske chalte lagta hai ki wo bilkul real me wahi samne mojud hai
because wo aapke environment miljate hai. aap aksar unme difference feel nahi kar payenge.!

3 Environment Flat Surface Environment me flat surface konsi hai, flat surface ko software pata lagata hai for example kisi floor,table,etc. ka uske baad jo aapka object hai uspar rakha jata hai jiske chalte aap uske satha kamal ke interaction kar paye gye or ye indoor outdoor dono jagaho ke liye hai..


Umeed hai ye information aapko pasand aayi hogi.!! Agar aapka koi or sawaal ya Suggestion ho to comment kar ke jarur bataye.!!